• Uncategorized
  • 0

Dost ki yaad me

Dosto aaj aapko main apne Aligarh ke bare main batata hoon

WAH WAH Kanpur
Woh Center Point ki sham, woh Ganpat ke rasgulle,
Woh Numaaish ki ice cream, Wah tanga stand ki chaat.
Woh Khayali Ram ki mithai, woh Quality ka dosa,
Woh Mehak ki pav bhaji aur Sindh ka samosa.
Woh rikshaw ka saffer, woh Naqwi Park ki hawa,
Woh Gandhi Park ki raunak aur AMU ka sama.
Woh January ki kadake ki sardi, woh baarishon ke mahiney,
Woh garmi ki chuttiyan, jab chute te they paseeney.
Woh holi ki masti, woh doston ki toli,
Woh Curfew ka mahol, woh Ganga ki leheren,
Woh Uparcoat ki galiyan , woh Abdullah ki ladkiyan.
Woh Krishna ki balcony aur woh Chick Fish ka NonVeg
Woh school ki life aur woh DS College ki Zindagi,
Woh Polytechnic ka rasta aur woh Canteen ki patties ,.
Woh Railway Road ka market,wo highway ke dhabe
Wo Sasni Gate chauraha , wo Railway station………
Itna sab keh diya par dil kehta hai aur bhi kuch kahoon
Wo shehar hain mera apna, jiska naam hai

You may also like...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *