DESH – VIDESH
Pyare Doston, Pichli bar maine chrcha ki thi ki “apna bharat mahan” Ho bhi kyiun na apne desh main badi hi mahan vibhutio ne janam liya hai tatha her chatra me jo manav jevan ke liye jaruri hai.
Ab yah to kisi ko pata nahi ki jab , aane jane ka koi sadhan nahi tha tab log paidal yatra karte the, fir pahiye ka avishkar hua, tab bailgadi bani,disha ka gyan na hone per rashte bane, ek dusre se mile,gram bane ,kasbe bane ,sahar bane ,rajya bane ,desh bane, fir jakar videsh bane jinki bad me ek dusre mahadweepo me khoj hui.
jinhe khojne vale mahan kahlaye ye bhi videshi the, bade- bade vaigyanik videshi hua , doctere, engineering ,manegement aur antriksh vigyan sabhi ka gyan hum pustako (course)mein in videshi lakhakon ka hi padte hain aur shikchcha puri kartein hain.
Dusri taraf apne desh main, charak, aryabhatt, ved, sahinta,puran,geeta na jane kitne ann ginat shashtra bhara pada hai phir bhi hum videshi kahe jane vale gyan per nirbhar hain jo ki hamarae hi dwara prasarit gyan hai , yah vidambana hi hai ki aaj hum use apna nahi kah sakte.
dhanyabad
Post Reactions