MERA PYARA BHARAT
Priya Mitro, Aaj apne desh ki halat din per din bad se badter hoti ja rahi hai, Aur hum shabhi hanth per hanth der ka baithe tamasha dekh rehe hain, hum kya kar shakte hain yeh socha hai kabhi apne yadi nahi socha hai tab bahut pachtain ge .
Aaj hamare desh main Independance day aur Republic day bade hi dhum dham se manaya jata hai ,magar iske peche ka rahyesya kya tha ise bhula diya gaya ! Jo mukhya loog the unka aam parde ke peeche chupp gaya, aaj unke ghar mein choola nahi alta , rahne ka asiyana ujad gaya ,unke bachche school nahi ate ,Sakar unki arah kai dyan nahi deti , sirf khusiyan manati hai ” Mera bharat mahan” Are kahan se mahan hai , amir aur amir ho rahe hain , amir aur garib ke beech khai badti hi ja rahi hai.
Aaj sensex bad raha hai amir bad rahe hain per garib to garib hi rahega use jab padne hi nahi diya to sensex kya jane ,aaj se ek verse pahle mujhe bhi nahi pata tha ki sensex hota kya hai.
Mere bhai bahut kuch sochne ko hai, is desh ki kya halat hone vali hai yeh uun kagjo main likha hai jin per duniya chal rahi hai aur yah kagaj bhi uun garib majhduro ke dwara hi banaya jata hai per yeh kagaj ka rupaya unko nasib nahi hai yeh to amiron ki tijori mein pada -pada sadega unke bachche bhi yehi kagaj batorne ya kahein katora bharne jate hai per kabhi maine nahi dekha kisi bhikari ko ek rupya dete.
fir bhi mere bharat mahan hai.
aapne bhaut acha likha hain